yuu.N hii besabab na phiraa karo, ko_ii shaam ghar bhii rahaa karo
vo Gazal kii sachchii kitaab hai, use chupake chupake pa.Daa karo

ko_ii haath bhii na milaayegaa, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj kaa shahar hai, zaraa faasale se milaa karo

abhii raah me.n ka_ii mo.D hai.n, ko_ii aayegaa ko_ii jaayegaa
tumhe.n jisane dil se bhulaa diyaa use bhuulane kii duaa karo

mujhe ishtahaar sii lagatii hai.n, ye mohabbato.n kii kahaaniyaa.N
jo kahaa nahii.n vo sunaa karo, jo sunaa nahii.n vo kahaa karo

kabhii husn-e-pardaanashii.n bhii ho zaraa aashiqaanaa libaas me.n
jo mai.n ban-sa.Nvar ke kahii.n chaluu.N, mere saath tum bhii chalaa karo

ye Khizaa kii zard-sii shaam me.n, jo udaas pe.D ke paas hai
ye tumhaare ghar kii bahaar hai, ise aa.nsuo.n se haraa karo

nahii.n behijaab vo chaa.Nd saa ki nazar kaa ko_ii asar nahii.n
use tanii garmi-e-shauq se ba.Dii der tak na takaa karo


Tell a Friend
This entry was posted on Wednesday, September 28th, 2005 at 5:52 pm and is filed under Bashir Badr. You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed. You can leave a response, or trackback from your own site.

Leave a reply

You must be logged in to post a comment.