28
Sep

tumhaare Khat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa

   Posted by: ultimate   in Daag Dehlvi

tumhaare Khat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa
na thaa raqiib to aaKhir vo naam kis kaa thaa

vo qatl kar ke har kisii se puuchhate hai.n
ye kaam kis ne kiyaa hai ye kaam kis kaa thaa

vafaa kare.nge nibhaaye.nge baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa

rahaa na dil me.n vo be-dard aur dard rahaa
muqiim kaun huaa hai maqaam kis kaa thaa

na puuchh-paachh thii kisii kii na aav-bhagat
tumhaarii bazm me.n kal ehatamaam kis kaa thaa

hamaare Khat ke to purze kiye pa.Dhaa bhii nahii.n
sun jo tum ne baa-dil vo payaam kis kaa thaa

i.nhii.n sifaat se hotaa hai aadamii mashahuur
jo lutf aap hii karate to naam kis kaa thaa

guzar gayaa vo zamaanaa kahe.n to kis se kahe.n
Khayaal mere dil ko subah-o-shaam kis kaa thaa

har ek se kahate hai.n kyaa “Daag” bevafaa nikalaa
ye puuchhe in se ko_ii vo Gulaam kis kaa thaa


Tell a Friend
This entry was posted on Wednesday, September 28th, 2005 at 6:36 pm and is filed under Daag Dehlvi. You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed. You can leave a response, or trackback from your own site.

Leave a reply

You must be logged in to post a comment.