24
Sep

har ek harf-e-aarazuu ko daastaa.N kiye hue

   Posted by: ultimate   in Ada Jafri

har ek harf-e-aarazuu ko daastaa.N kiye hue

har ek harf-e-aarazuu ko daastaa.N kiye hue
zamaanaa ho gayaa hai un ko mahamaa.N kiye hue

suruur-e-aish talKhi-e-hayaat ne bhulaa diyaa
dil-e-hazii.n hai bekasii ko hijr-e-jaa.N kiye hue

kalii kalii ko gulistaa.N kiye hue vo aaye.nge
vo aaye.nge kalii kalii ko gulistaa.N kiye hue

sukuun-e-dil kii raahato.n ko un se maa.Ng luu.N
sukuun-e-dil kii raahato.n ko bekaraa.N kiye hue

vo aaye.nge to aaye.nge junuun-e-shauq ubhaarane
vo jaaye.nge to jaaye.nge tabaahiyaa.N kiye hue

mai.n un kii bhii nigaah se chhupaa ke un ko dekh luu.N
ki un se bhii hai aaj rashk bad_gumaa.N kiye hue


Tell a Friend
This entry was posted on Saturday, September 24th, 2005 at 6:32 pm and is filed under Ada Jafri. You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed. You can leave a response, or trackback from your own site.

Leave a reply

You must be logged in to post a comment.