Archive for September, 2005

30
Sep

zindagii ko na banaa le.n vo sazaa mere baad

   Posted by: ultimate   in Hakim Nasir

zindagii ko na banaa le.n vo sazaa mere baad
hausalaa denaa unhe.n mere Khudaa mere baad

haath uThate hue un ke na ko_ii dekhegaa
kis ke aane kii kare.nge vo duaa mere baad

kaun ghuu.NgaT ko uThaayegaa sitam_gar kah kar
aur phir kis se kare.nge vo hayaa mere baad

phir zamaane me.n muhabbat kii na pur_sish hogii
royegii siskiyaa.N le le ke vafaa mere baad

vo jo kahataa thaa ke ‘Nasir’ ke liye jiitaa huu.N
us kaa kyaa jaaniye kyaa haal huaa mere baad


Tell a Friend
30
Sep

jab se tuune mujhe diivaanaa banaa rakhaa hai

   Posted by: ultimate   in Hakim Nasir

jab se tuune mujhe diivaanaa banaa rakhaa hai
sang har shaKhs ne haatho.n me.n uThaa rakhaa hai

[sang=stone]

us ke dil par bhii ka.Dii ishq me.n guzarii hogii
naam jis ne bhii muhabbat kaa sazaa rakhaa hai

pattharo.n aaj mere sar pe baraste kyuu.N ho
mai.n ne tum ko bhii apanaa Khudaa rakhaa hai

ab mere diid kii duniyaa bhii tamaashaa_ii hai
tuune kyaa mujhako muhabbat me.n banaa rakhaa hai

piijaa aiyaam kii talKhii ko bhii ha.Nsake “Nasir”
Gam ko sahane me.n bhii kudarat ne mazaa rakhaa hai

[ayyam=days; talKhii=bitterness]


Tell a Friend
30
Sep

haaye vo vaqt-e-judaa_ii ke tumhaare aa.Nsuu

   Posted by: ultimate   in Hakim Nasir

haaye vo vaqt-e-judaa_ii ke tumhaare aa.Nsuu
gir ke daaman pe bane the jo sitaare aa.Nsuu

laal-o-gauhar ke Khazaane hai.n ye saare aa.Nsuu
ko_ii aa.Nkho.n se churaa le na tumhaare aa.Nsuu

[laal-o-gauhar = rubies and pearls (precious gems)]

terii aa.Nkho.n me.n agar ho.n to sitaare aa.Nsuu
merii aa.Nkho.n me.n agar ho.n to bechaare aa.Nsuu

in ko ‘Nasir’ na kabhii aa.Nkh se girane denaa
un ko lagate hai.n merii aa.Nkh me.n pyaare aa.Nsuu


Tell a Friend
30
Sep

ye kyaa muqaam hai vo nazaare kahaa.N gaye

   Posted by: ultimate   in Hafeez Jullundhary

ye kyaa muqaam hai vo nazaare kahaa.N gaye
vo phuul kyaa huye vo sitaare kahaa.N gaye

yaaraan-e-bazm-e-jurr’at-e-ri.ndaanaa kyaa hu_ii
un mast a.nkha.Diyo.n ke ishaare kahaa.N gaye

ek aur daur kaa vo taqaazaa kidhar gayaa
uma.De huye vo hosh ke dhaare kahaa.N gaye

uTh uTh ke baiTh chukii gard raah kii
yaaro qaafile thake haare kahaa.N gaye

betaab tere dard se the chaaraagar “Hafeez”
kyaa jaaniye vo dard ke maare kahaa.N gaye


Tell a Friend
30
Sep

tuu bhii kisii kaa pyaar na paaye Khudaa kare

   Posted by: ultimate   in Hafeez Jullundhary

tuu bhii kisii kaa pyaar na paaye Khudaa kare
tujh ko teraa nasiib rulaaye Khudaa kare

raato.n me.n tujh ko nii.nd na aaye Khudaa kare
tuu dar-ba-dar kii Thokare.n khaaye Khudaa kare

aaye bahaar tere gulistaa.N me.n baar baar
tujh par kabhii nikhaar na aaye Khudaa kare

merii tarah tujhe bhii javaanii me.n Gam mile
teraa na ko_ii saath nibhaaye Khudaa kare

ma.nzil kabhii bhii pyaar kii tujh ko na mil sake
tuu bhii duaa ko haath uThaaye Khudaa kare

tujh par shab-e-visaal kii raate.n haraam ho.n
shamme.n jalaa jalaa ke bujhaaye Khudaa kare

ho jaaye.n bad-duaaye.n merii dosto Galat
ab un pe ko_ii harf na aaye Khudaa kare


Tell a Friend
30
Sep

uThii hai maGrib se ghaTaa

   Posted by: ultimate   in Hafeez Jullundhary

uThii hai maGrib se ghaTaa
piine kaa mausam aa gayaa

hai raqs me.n ik maah-laqaa
naazuk adaa naaz aafriin

haa.N naachatii jaa gaaye jaa
nazaro.n se dil baramaaye jaa

ta.Dapaaye jaa ta.Dapaaye jaa
o dushman-e-duniyaa-o-dii.n

teraa thirakanaa Khuub hai
terii adaaye.n dil-nashii.n

lekin Thahar tuu kaun hai
o niim-uriyaa.N naazanii.n

kyaa mashriqii aurat hai tuu
hargiz nahii.n hargiz nahii.n

terii ha.Nsii bebaak hai
terii nigaah chaalaak hai

uff kis qadar dil-soz hai
taqariir baazaarii terii

kitanii havas aamez hai
ye saadaa purkaarii terii

sharm aur izzat vaaliyaa.N
hotii hai.n iffat vaaliyaa.N

vo husn kii shahzaadiyaa.N
parde kii hai.n aabaadiyaa.n

chashm-e-falak ne aaj tak
dekhii nahii.n un kii jhalak

sarmaayaa-e-sharm-o-hayaa
zevar hai un ke husn kaa

shohar ke dukh sahatii hai.n vo
muu.Nh se nahii.n kahatii hai.n vo

kab saamane aatii hai.n vo
Gairat se kaT jaatii hai.n vo

aziiyat-e-millat un se hai
naam-e-sharaafat un se hai

imaam par qaayam hai.n vo
paakiizaa-o-saayam hai.n vo

tujh me.n nahii.n sharm-o-hayaa
tujh me.n nahii.n mahar-o-vafaa

sach sach bataa tuu kaun hai
o behayaa tuu kaun hai

ye pur-fasuu.N Gamze tere
naa-maharamo.n ke saamane

haT saamane se duur ho
maraduud ho maqhuur ho

taqadiir kii heTii hai tuu
shaitaan kii beTii hai tuu

jis qaum kii aurat hai tuu
us qaum par laanat hai tuu

lekin Thahar jaanaa zaraa
terii nahii.n ko_ii Khataa

mardo.n me.n Gairat hii nahii.n
qaumii hamiiyat hii nahii.m

vo millat-e-baizaa kii thii
saare jahaa.N kii raushanii

jaamiyat-e-islaamiyaa.N
shahanshaah-e-hindustaa.N

ab is me.n dam kuchh bhii nahii.n
ham kyaa hai.n ham kuchh bhii nahii.n

millii siasat uTh ga_ii
baazuu kii taaqat uTh ga_ii

shaan-e-hejaazii ab kahaa.N
vo turk-taazii ab kahaa.N

ab Gazanavii himmat ga_ii
ab baabarii shaukat ga_ii

lekin mujhe kyaa Khabt hai
taqariir kyo.n berabt hai

itanaa sharaabii ho gayaa
aql-o-Khirad bhii kho gayaa

mujhako zamaane se Garaz
miTane miTaane se Garaz

hindustaan se kaam kyaa
andeshaa-e-islaam kyaa

jiine do jiine do mujhe
piine do piine do mujhe

jab hashr kaa din aayegaa
us vaqt dekhaa jaayegaa

haa.N naachatii jaa gaaye jaa
nazaro.n se dil baramaaye jaa

ta.Dapaaye jaa ta.Dapaaye jaa
dushman-e-duniyaa-o-dii.n


Tell a Friend

kyo.n hijr ke shikave karataa hai kyo.n dard ke rone rotaa hai
ab ishq kiyaa hai to sabr bhii kar is me.n to yahii kuchh hotaa hai

[hijr = separation; shikave = complaints; sabr = patience]

aaGaaz-e-musiibat hotaa hai apane hii dil kii sharaarat se
aa.Nkho.n me.n phuul khilaataa hai talavo.n me.n kaa.NTe.n botaa hai

[aaGaaz = start; sharaarat = mischief]

ahabaab kaa shikavaa kyaa kiijiye Khud zaahir va baatin ek nahii.n
lab uupar uupar ha.Nsate hai.n dil andar andar rotaa hai

[ahabaab = friends; zaahir = disclosed/out in the open]
[baatin = internal/of the mind]

mallaaho.n ko ilzaam naa do tum saahil vaale kyaa jaano.n
ye tuufaan kaun uThaataa hai ye kishtii kaun Dubotaa hai

[mallaah = boatsman/sailor; ilzaam = allegation]
[saahil = shore]

kyaa jaane kyaa ye khoyegaa kyaa jaane kyaa ye paayegaa
mandir kaa pujaarii jaagataa hai masjid kaa namaazii sotaa hai


Tell a Friend
30
Sep

koii davaa na de sake, mashvaraa duaa diyaa

   Posted by: ultimate   in Hafeez Jullundhary

koii davaa na de sake, mashvaraa duaa diyaa
chaaraagaro.n ne aur bhii dil kaa dard ba.Dhaa diyaa

zauq-e-nigaah ke sivaa shauq-e-gunaah ke sivaa
mujhako Khudaa se kyaa milaa mujhako buto.n ne kyaa diyaa

thii na Khizaa.N kii rok-thaam daaman-e-iKhtiyaar me.n
hamane bharii bahaar me.n apanaaa chaman luTaa diyaa

husn-e-nazar kii aabaruu san_at-e-braahamaNn se hai
jisako sanam samajh liyaausako Khudaa banaa diyaa

daaG hai mujhape ishq kaa meraa gunaah bhii to dekh
usakii nigaah bhii to dekh jisane ye gul khilaa diyaa


Tell a Friend
30
Sep

ko_ii chaaraa nahii.n duaa ke sivaa

   Posted by: ultimate   in Hafeez Jullundhary

ko_ii chaaraa nahii.n duaa ke sivaa
ko_ii sunataa nahii.n Khudaa ke sivaa

mujh se kyaa ho sakaa vafaa ke sivaa
mujh ko milataa bhii kyaa sazaa ke sivaa

dil sabhii kuchh zabaan par laayaa
ik faqat arz-e-mudda’a ke sivaa

barasar-e-saahil-e-muqaam yahaa.N
kaun ubharaa hai naaKhudaa ke sivaa

dil sabhii kuchh zubaa.N par laayaa
ik faqat arz-e-muddaa ke sivaa

[faqat=merely; arz-e-muddaa=expressing]

dosto.n ke ye mukhalii saanaa tiir
kuchh nahii.n merii hii Khataa ke sivaa

ye “Hafeez” aah aah par aaKhir
kya kahe.n dost vaah vaah ke sivaa


Tell a Friend
30
Sep

Khuun ban kar munaasib nahii.n dil bahe

   Posted by: ultimate   in Hafeez Jullundhary

Khuun ban kar munaasib nahii.n dil bahe
dil nahii.n maanataa kaun dil se kahe

[munaasib = proper]

terii duniyaa me.n aaye bahut din rahe
sukh ye paayaa ki hamane bahut dukh sahe

bulbule.n gul ke aa.Nsuu nahii.n chaaTatii.n
un ko apane hii marGuub hai.n chah_chahe

[chaaTanaa = to lick; marGuub = to like or find plesant]

aalam-e-naz’a me.n sun rahaa huu.N mai.n kyaa
ye aziizo.n kii chiiKhe.n hai yaa qah_qahe

[naz’a = last breath; aziizo.n = dear ones]
[chiiKhe.n = screams; qah_qahe = laughter]

is naye husn kii bhii adaayo.n pe ham
mar miTe.nge ba_sharte ki zi.ndaa rahe

[ba_sharte = on the condition (that…)]


Tell a Friend

ham hii me.n thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake
tumne hame.n bhulaa diyaa, ham na tumhe.n bhulaa sake

tum hii na sun sake agar, qissaa-e-Gam sunegaa kaun
kis kii zubaa.N khulegii phir, ham na agar sunaa sake

hosh me.n aa chuke the ham josh me.n aa chuke the ham
bazm kaa rang dekh kar sar na magar uThaa sake

shauq-e-visaal hai yahaa.N, lab pe savaal hai yahaa.N
kis kii majaal hai yahaa.N, ham se nazar milaa sake

raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikaayate.n rahii.n
dil me.n shikaayaten rahii.n lab na magar hilaa sake

aisaa bhii ko_ii naamaabar baat pe kaan dhar sake
sun kar yakiin kar sake jaa ke u.nhe.n sunaa sake

ahal-e-zabaa.N to hai.n bahut koii nahii.n hai ahal-e-dil
kaun terii tarah “hafeez” dard ke geet gaa sake


Tell a Friend
30
Sep

dil abhii tak javaan hai pyaare

   Posted by: ultimate   in Hafeez Jullundhary

dil abhii tak javaan hai pyaare

dil abhii tak javaan hai pyaare
kis musiibat me.n jaan hai pyaare

tuu mere haal kaa Khayaal na kar
is me.n bhii ek shaan hai pyaare

raat kam hai na chhe.D hijr kii baat
ye ba.Dii daastaan hai pyaare

talKh kar dii hai zindagii jis ne
kitanii miThii zabaan hai pyaare

jaane kyaa kah diyaa thaa roz-e-azal
aaj tak imtihaan hai pyaare

mai.n tujhe bevafaa nahii.n kahataa
dushmano.n kaa bayaan hai pyaare

saarii duniyaa ko hai Galat_fahamii
mujh pe tuu meharabaan hai pyaare


Tell a Friend

ai dost miT gayaa huu.N fanaa ho gayaa huu.N mai.n
is daur-e-dostii kii davaa ho gayaa huu.N mai.n

qaayam kiyaa hai maine ne adam ke vajuud ko
duniyaa samajh rahii hai fanaa ho gayaa huu.N mai.n

himmat bula.nd thii magar uftaad dekhanaa
chupachaap aaj mahav-e-duaa ho gayaa huu.N mai.n

ye zindagii fareb-e-musalasal na ho kahii.n
shaayad asiir-e-daam-e-balaa ho gayaa huu.N mai.n

haa.N kaif-e-beKhudii kii vo saa_at bhii yaad hai
mahasuus kar rahaa thaa Khudaa ho gayaa huu.N mai.n


Tell a Friend
30
Sep

agar mauj hai biich dhaare chalaa chal

   Posted by: ultimate   in Hafeez Jullundhary

agar mauj hai biich dhaare chalaa chal
vagaranaa kinaare kinaare chalaa chal

isii chaal se mere pyaare chalaa chal
guzaratii hai jaise guzaare chalaa chal

tujhe saath denaa hai baharuupiyo.n kaa
naye se nayaa ruup dhaare chalaa chal

musalasal buto.n kii tamannaa kiye jaa
musalasal Khudaa ko pukaare chalaa chal

tujhe to abhii der tak khelanaa hai
isii me.n to hai jiit haare chalaa chal


Tell a Friend
30
Sep

abhii to mai.n javaan huu.N

   Posted by: ultimate   in Hafeez Jullundhary

abhii to mai.n javaan huu.N

havaa bhi Khushagavaar hai, gulo.n pe bhii nikhaar hai
tarannume.n hazaar hai.n, bahaar purbahaar hai
kahaa.N chaalaa hai saaqiyaa, idhar to lauT idhar to aa
are ye dekhataa hai kyaa, uThaa subuu, subuu uThaa

subuu uThaa piyaalaa bhar, piyaalaa bhar ke de idhar
chaman kii simt kar nazar, samaa.N to dekh beKhabar
vo kaalii-kaalii badaliyaa.N, ufaq pe ho ga_ii ayaa.N
vo ik hajuum-e-maikashaa.N, hai suu-e-maikadaa ravaa.N
ye kyaa gumaa.N hai badagumaa.N, samajh na mujhako naatavaa.N
Khayaal-e-zohd abhii kahaa.N - abhi to mai.n javaan huu.N

[Kush_gavaar=enjoyable; tarannum=song; purbahaar=in full bloom;]
[subuu=wine-goblet; simt=directiontowards; ufaq=horizon;]
[ayaa.N=expressed, evident; hajuum (hujuum)=crowd;]
[naatavaa.N=helpless, weakling, powerless;]

ibaadato.n kaa zikr hai, nijaat kii bhii fikr hai
junuun hai sabaab kaa, Khayaal hai azaab kaa
magar suno to shaiKh jii, ajiib shai hai.n aap bhii
bhalaa shabaab-o-aashiqii, alag hue bhii hai.n kabhii

hasiin jalavaarez ho.n, adaaye.N fitanaaKhez ho.n
havaaye.N itrabez ho.n, to shauq kyuu.N na tez ho.n
nigaarahaa-e-fitanaagar koi idhar, koi udhar
ubhaarate ho aish par, to kyaa kare koii bashar
chalo jii qissaa muKhtasar, tumhaaraa nuktaa-e-nazar
durust hai to ho, magar - abhi to mai.n javaan huu.N

[nijaat=chhuTakaaraa, freedom; junuun=madness, infatuation;]
[sabaab=desert (?), azaab=troubles;]
[jalavaarez=present; fitanaaKez=destructive, deadly;]
[itrabez=fragrant; nigaarahaa\-e\-fitanagar=’adaa’ of the destructive person;]
[ashar=control; muKhtasar=complete, finished;]

na Gam kashuud-o-bast kaa, bala.nd kaa na past kaa
na buud kaa na hast kaa, na vaadaa-e-alast kaa
ummiid aur yaas gum, havaas gum qayaas gum
nazar se aas-paas gum, hamaa bajuz gilaas gum

na may me.n kuchh kamii rahe, qadaa se hamadamii rahe
nishast ye jamii rahe, yahii hamaahamii rahe
vo raag chhe.D mutaribaa, tarab-fizaa alam-rubaa
asar sadaa-e-saaz kaa, jigar me.n aag de lagaa
har iklab pe ho sadaa na haath rok saaqiiyaa
pilaaye jaa pilaaye jaa, pilaaye jaa pilaaye jaa

abhii to mai.n javaan huu.N

[bala.nd=strong, explicit, clearly evident; past=implicit;]
buud=future; hast=the past; ummiid=hope, yaas=wish, desire;]
[bajuz=without; kadaa=wine-glass; alamrubaa=world alluring;]

ye gasht kohasaar kii, ye sair juu-e-vaar kii
ye bulbulo.n ke chahachahe, yeh gul_ruKho.n ke qahqahe
kisii se mel ho gayaa, to ra.nj-o-fikr kho gayaa
kabhii jo vaqt so gayaa, ye ha.Ns gayaa vo ro gayaa

ye ishq kii kahaaniyaa.N, ye ras bharii javaaniyaa.N
udhar se meharabaaniyaa.N, idhar se lantaraaniyaa.N
ye aasamaan ye zamii.n, nazzaraahaa-e dilanashii.n
unhe.n hayaat aafarii.n, bhalaa mai.n chho.D doo.N yahii.n
hai maut is qadar qarii.n, mujhe na aayegaa yaqii.n
nahii.n nahii.n abhii nahii.n, nahii.n nahii.n abhii nahii.n

abhi to mai.n javaan huu.N

[kohasaar=veeraanaa; nazzaaraahaa=pl. of nazaaraa;]
[lantaraaniyaa.n=tempting invitations; dilanashii.n=heart-pleasing;]
[aafarii.n=mubaarak; barii.n=palpable, tangible;]


Tell a Friend